ek bikharte aashiyan ki baat hai
ik bikharte āshiyāñ kī baat hai
ik shikasta sā.ebāñ kī baat hai
mere māthe ke nishāñ kī baat hai
un ke sañg-e-āstāñ kī baat hai
dard-o-ġham ke qāfile kā zikr hai
ashk kī mauj-e-ravāñ kī baat hai
ruuh kā rishta hai ye terā mirā
ye bhalā kab jism-o-jāñ kī baat hai
log jo kahte haiñ tum ko bevafā
tum batāo ye kahāñ kī baat hai
zaḳhm bhar kar phir hare kaise hue
bas kaf-e-chāra-garāñ kī baat hai
sach vahī hai jo abhī maiñ ne kahā
baaqī zeb-e-dāstāñ kī baat hai
ek bikharte aashiyan ki baat hai
ek shikasta saeban ki baat hai
mere mathe ke nishan ki baat hai
un ke sang-e-astan ki baat hai
dard-o-gham ke qafile ka zikr hai
ashk ki mauj-e-rawan ki baat hai
ruh ka rishta hai ye tera mera
ye bhala kab jism-o-jaan ki baat hai
log jo kahte hain tum ko bewafa
tum batao ye kahan ki baat hai
zaKHm bhar kar phir hare kaise hue
bas kaf-e-chaara-garan ki baat hai
sach wahi hai jo abhi main ne kaha
baqi zeb-e-dastan ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.