ek dard-e-kuhan aankh se dhoya nahin jata
ik dard-e-kuhan aañkh se dhoyā nahīñ jaatā
jab ranj ziyāda ho to royā nahīñ jaatā
miT jaane kī ḳhvāhish ko miTāyā nahīñ karte
kho dene ke armān ko khoyā nahīñ jaatā
jalte hue khaliyān meñ ugtī nahīñ fasleñ
ḳhvāboñ ko kabhī aag meñ boyā nahīñ jaatā
jab had se guzarte haiñ to ġham ġham nahīñ rahte
aur aisī zabūñ-hālī meñ royā nahīñ jaatā
tahrīr meñ bantī nahīñ jo baat hai dil meñ
kyā dard hai sheroñ meñ samoyā nahīñ jaatā
sulgī haiñ mirī aañkh meñ ik umr kī nīñdeñ
āñgan meñ lage aag to soyā nahīñ jaatā
yuuñ chhū ke dar-e-dil ko palaT aatā hai vāpas
ik vahm mohabbat kā ki goyā nahīñ jaatā
ab 'sūfiya' is tarah se dil pe nahīñ bantī
ab ashkoñ se āñchal ko bhigoyā nahīñ jaatā
ek dard-e-kuhan aankh se dhoya nahin jata
jab ranj ziyaada ho to roya nahin jata
miT jaane ki KHwahish ko miTaya nahin karte
kho dene ke arman ko khoya nahin jata
jalte hue khaliyan mein ugti nahin faslen
KHwabon ko kabhi aag mein boya nahin jata
jab had se guzarte hain to gham gham nahin rahte
aur aisi zabun-haali mein roya nahin jata
tahrir mein banti nahin jo baat hai dil mein
kya dard hai sheron mein samoya nahin jata
sulgi hain meri aankh mein ek umr ki ninden
aangan mein lage aag to soya nahin jata
yun chhu ke dar-e-dil ko palaT aata hai wapas
ek wahm mohabbat ka ki goya nahin jata
ab 'sufiya' is tarah se dil pe nahin banti
ab ashkon se aanchal ko bhigoya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.