ek din ye dharti nila ambar hoti
ik din ye dhartī niilā ambar hotī
kaash kisī sar par merī chādar hotī
jin chīzoñ se dīvāreñ ghar bantī haiñ
aisī koī chiiz hamāre ghar hotī
cover lihāfoñ ke aksar badle jaate
khāne kī ik mez hamāre ghar hotī
chhuk-chhuk kartī rail guzartī āñgan meñ
guḌiyā hotī guḌiyā kī motor hotī
bartan ghiste ghiste āḳhir raakh hue
jin hāthoñ meñ mehñdī kī jhālar hotī
tan Dhakne ko bas itnā hī kaafī thā
phūloñ aur pattoñ kī ik nekar hotī
duniyā ke bad-sūrat hisse Dhak jaate
apne paas koī aisī chādar hotī
ek din ye dharti nila ambar hoti
kash kisi sar par meri chadar hoti
jin chizon se diwaren ghar banti hain
aisi koi chiz hamare ghar hoti
cower lihafon ke aksar badle jate
khane ki ek mez hamare ghar hoti
chhuk-chhuk karti rail guzarti aangan mein
guDiya hoti guDiya ki motor hoti
bartan ghiste ghiste aaKHir rakh hue
jin hathon mein mehndi ki jhaalar hoti
tan Dhakne ko bas itna hi kafi tha
phulon aur patton ki ek nekar hoti
duniya ke bad-surat hisse Dhak jate
apne pas koi aisi chadar hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.