ek diye ke waste har-su hawa-e-pesh-o-pas
ik diye ke vāste har-sū havā-e-pesh-o-pas
shahr meñ phailī huī hai bas fazā-e-pesh-o-pas
kar mirī maujūdgī ko kārgar mere liye
ai ḳhudā-e-lam-yazal ai māvarā-e-pesh-o-pas
aa nahīñ paatā tazalzul ārzū-e-vasl meñ
vāhima taḳhlīq kar de ik barā.e pesh-o-pas
'ishq kī pahlī nazar ham se ḳhafā hai aaj aur
dil meñ barpā hai hamāre karbalā-e-pesh-o-pas
shāḳh-e-dil se jhaḌne lagte haiñ samar ummīd ke
ḳhāmushī meñ gūñjtī hai jab sadā-e-pesh-o-pas
rakh na paayā phir safar jaarī musāfir vaqt kā
thī kisī mazbūt lahje meñ navā-e-pesh-o-pas
aap kī ulfat meñ ham sābit-qadam kyūñkar raheñ
aap ne baḳhshā hī kyā ham ko sivā.e pesh-o-pas
is tasalsul se khulā hai rang-e-do-'ālam ki ab
naam hī dil kā nahīñ dil hai sarā-e-pesh-o-pas
aap ke hote hue mā'dūm ham hone lage
pesh-o-pas hai sar-basar bas intihā-e-pesh-o-pas
ek diye ke waste har-su hawa-e-pesh-o-pas
shahr mein phaili hui hai bas faza-e-pesh-o-pas
kar meri maujudgi ko kargar mere liye
ai KHuda-e-lam-yazal ai mawara-e-pesh-o-pas
aa nahin pata tazalzul aarzu-e-wasl mein
wahima taKHliq kar de ek barae pesh-o-pas
'ishq ki pahli nazar hum se KHafa hai aaj aur
dil mein barpa hai hamare karbala-e-pesh-o-pas
shaKH-e-dil se jhaDne lagte hain samar ummid ke
KHamushi mein gunjti hai jab sada-e-pesh-o-pas
rakh na paya phir safar jari musafir waqt ka
thi kisi mazbut lahje mein nawa-e-pesh-o-pas
aap ki ulfat mein hum sabit-qadam kyunkar rahen
aap ne baKHsha hi kya hum ko siwae pesh-o-pas
is tasalsul se khula hai rang-e-do-'alam ki ab
nam hi dil ka nahin dil hai sara-e-pesh-o-pas
aap ke hote hue ma'dum hum hone lage
pesh-o-pas hai sar-basar bas intiha-e-pesh-o-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.