Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek duje ko der se samjha der se yari ki

Anjum Saleemi

ek duje ko der se samjha der se yari ki

Anjum Saleemi

MORE BYAnjum Saleemi

    ik duuje ko der se samjhā der se yaarī

    ham donoñ ne ek mohabbat baarī baarī

    ḳhud par hañsne vāloñ meñ ham ḳhud bhī shāmil the

    ham ne bhī bhar kar apnī dil-āzārī

    ik aañsū ne dho Daalī hai dil saarī mail

    ek diye ne kaaT ke rakh gahrī tārīkī

    dil ne ḳhud isrār kyā ik mumkina hijrat par

    ham ne is majbūrī meñ bhī ḳhud-muḳhtārī

    chauda baras ke hijr ko im-shab ruḳhsat karnā hai

    saarā din so so kar jāgne tayyārī

    ham bhī isī duniyā ke baasī the so ham ne bhī

    duniyā vāloñ se thoḌī duniyā-dārī

    'anjum' ham ushshāq meñ ūñchā darja rakhte haiñ

    be-shak ishq ne aisī koī sanad na jaarī

    ek duje ko der se samjha der se yari ki

    hum donon ne ek mohabbat bari bari ki

    KHud par hansne walon mein hum KHud bhi shamil the

    hum ne bhi ji bhar kar apni dil-azari ki

    ek aansu ne dho Dali hai dil ki sari mail

    ek diye ne kaT ke rakh di gahri tariki

    dil ne KHud israr kya ek mumkina hijrat par

    hum ne is majburi mein bhi KHud-muKHtari ki

    chauda baras ke hijr ko im-shab ruKHsat karna hai

    sara din so so kar jagne ki tayyari ki

    hum bhi isi duniya ke basi the so hum ne bhi

    duniya walon se thoDi si duniya-dari ki

    'anjum' hum ushshaq mein uncha darja rakhte hain

    be-shak ishq ne aisi koi sanad na jari ki

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Javed Naseem

    Javed Naseem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now