ek ghazal un par likhi aur gunguna kar rah gaya

ek ghazal un par likhi aur gunguna kar rah gaya
Himanshu Chakrpani
MORE BYHimanshu Chakrpani
ik ġhazal un par likhī aur gungunā kar rah gayā
jab bhī aa.ī yaad un kī chhaTpaTā kar rah gayā
raat bhar maiñ rāsta taktā rahā dil-dār kā
vo na aayā aur maiñ mahfil sajā kar rah gayā
zaḳhm par angār rakh jab haal pūchhā yaar ne
aañkh meñ aañsū liye maiñ muskurā kar rah gayā
vo parinda jo shikārī se kabhī haarā nahīñ
jab chakhā jām-e-mohabbat phaḌphaḌā kar rah gayā
shaḳhs jo marham lagātā thā sabhī ke ghaav par
aaj vo apne hī dil par choT khā kar rah gayā
ek ghazal un par likhi aur gunguna kar rah gaya
jab bhi aai yaad un ki chhaTpaTa kar rah gaya
raat bhar main rasta takta raha dil-dar ka
wo na aaya aur main mahfil saja kar rah gaya
zaKHm par angar rakh jab haal puchha yar ne
aankh mein aansu liye main muskura kar rah gaya
wo parinda jo shikari se kabhi haara nahin
jab chakha jam-e-mohabbat phaDphaDa kar rah gaya
shaKHs jo marham lagata tha sabhi ke ghaw par
aaj wo apne hi dil par choT kha kar rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.