ek git mere pas hawa se purana hai
ik giit mere paas havā se purānā hai
ai bādalo mujhe to bahut duur jaanā hai
khaprail kī chhatoñ se guzarte sitāre ko
kuchh der aa.ine meñ abhī jhilmilānā hai
kis se miloge TūTtī shāḳhoñ ke darmiyāñ
ye bārishoñ kī raat baḌī vahshiyāna hai
bauchhār meñ savār ko ojhal bhī dekhnā
ye ban mohabbatoñ se bharā be-karāna hai
jangal kahāniyoñ kī tarah phail jā.eñge
pal bhar samay kī shāḳh pe manzar suhāna hai
ek git mere pas hawa se purana hai
ai baadalo mujhe to bahut dur jaana hai
khaprail ki chhaton se guzarte sitare ko
kuchh der aaine mein abhi jhilmilana hai
kis se miloge TuTti shaKHon ke darmiyan
ye barishon ki raat baDi wahshiyana hai
bauchhaar mein sawar ko ojhal bhi dekhna
ye ban mohabbaton se bhara be-karana hai
jangal kahaniyon ki tarah phail jaenge
pal bhar samay ki shaKH pe manzar suhana hai
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 30)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.