Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek hare KHat mein koi baat purani paDhna

Dinesh naaidu

ek hare KHat mein koi baat purani paDhna

Dinesh naaidu

MORE BYDinesh naaidu

    ik hare ḳhat meñ koī baat purānī paḌhnā

    kitnā mushkil hai kisī aañkh paanī paḌhnā

    kuchh na kuchh sochnā bas sochnā yuuñ din bhar

    aur phir raat meñ pariyoñ kahānī paḌhnā

    ek chehre bauchhār hai qissa apnā

    merī āñkhoñ se ise dushman-e-jānī paḌhnā

    kuud jaanā tirī yādoñ ke samundar meñ phir

    Dūbte Dūbte maujoñ ravānī paḌhnā

    āḳhrī baar mujhe dekhnā jaate jaate

    sūkhī āñkhoñ se mirā sail-e-ma.ānī paḌhnā

    maiñ ne ik daur sāvan hai kiyā nazm yahāñ

    kabhī aa ke mirī āñkhoñ paanī paḌhnā

    ek hare KHat mein koi baat purani paDhna

    kitna mushkil hai kisi aankh ka pani paDhna

    kuchh na kuchh sochna bas sochna yun hi din bhar

    aur phir raat mein pariyon ki kahani paDhna

    ek hi chehre ki bauchhaar hai qissa apna

    meri aankhon se ise dushman-e-jaani paDhna

    kud jaana teri yaadon ke samundar mein phir

    Dubte Dubte maujon ki rawani paDhna

    aaKHri bar mujhe dekhna jate jate

    sukhi aankhon se mera sail-e-maani paDhna

    main ne ek daur ka sawan hai kiya nazm yahan

    tu kabhi aa ke meri aankhon ka pani paDhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now