ek nae rup se har roz mila deta hai
ik na.e ruup se har roz milā detā hai
aa.ina bhī kisī 'ālam kā pata detā hai
chāñd tanhā.ī kā sāthī hai hamārā lekin
aksar auqāt ye tanhā.ī baḌhā detā hai
jab kabhī baḌhne lagūñ ḳhud se mulāqāt ko maiñ
terā honā mujhe āvāz lagā detā hai
kaun is ḳhvāb kī dīvār pe aa kar har shab
ek be-rang sī tasvīr banā detā hai
roz ik ḳhvāb dikhā detā hai āñkhoñ ko ye dil
roz ik fitne ko siine meñ jagā detā hai
pahle kartā hai shikāyat ki añdherā kyoñ hai
maiñ charāġhoñ ko jalā duuñ to havā detā hai
ek nae rup se har roz mila deta hai
aaina bhi kisi 'alam ka pata deta hai
chand tanhai ka sathi hai hamara lekin
aksar auqat ye tanhai baDha deta hai
jab kabhi baDhne lagun KHud se mulaqat ko main
tera hona mujhe aawaz laga deta hai
kaun is KHwab ki diwar pe aa kar har shab
ek be-rang si taswir bana deta hai
roz ek KHwab dikha deta hai aankhon ko ye dil
roz ek fitne ko sine mein jaga deta hai
pahle karta hai shikayat ki andhera kyon hai
main charaghon ko jala dun to hawa deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.