Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek raat baKHt sun main rindan ka sat paya

Qurbi Velori

ek raat baKHt sun main rindan ka sat paya

Qurbi Velori

MORE BYQurbi Velori

    ik raat baḳht suuñ maiñ rindāñ saat paayā

    irfāñ ke mulk-e-dīñ par haq suuñ barāt paayā

    man-arafa-nafsahu añjan lagā ko dekhā

    har chiiz zāt-e-haq bin maiñ be-sabāt paayā

    nafs-e-dūñ havā suuñ pakḌe liyā thā merī

    murshid kafash uThā.īñ us suuñ najāt paayā

    qaul o fe.al merā mujh iḳhtiyār suuñ niiñ

    hat panj maat maiñ aapas zaat paayā

    taslīm kar apas kuuñ us razā ke uupar

    mahbūb apas par nit iltifāt paayā

    but-kade meñ dekhā chashm-e-yagāñgī suuñ

    haq bin nahīñ disyā gar uzzā-o-lāt paayā

    ism-o-sifat jalva ism-o-sifat meñ dekhā

    har zaat kuuñ ḳhudā maiñ ain-e-zāt paayā

    qatra hai ain-e-dariyā dariyā hai ain-e-qatra

    bhī donoñ ġhair haiñ nādir baat paayā

    har shai hai ain-e-har-shai bhī shai hai ġhair-e-har-shai

    murshid ke lutf suuñ maiñ kyā ḳhuub baat paayā

    mahtāb-e-ilm sulgā gul-rez ma.arifat ke

    kar jahal ko havā.ī ḳhush shabbarāt paayā

    ruuñ ruuñ zabāñ karūñ to us sanā na sar

    'qurbī' karam suuñ haq kyā ḳhush-nikāt paayā

    ek raat baKHt sun main rindan ka sat paya

    irfan ke mulk-e-din par haq sun baraat paya

    man-arafa-nafsahu ka anjan laga ko dekha

    har chiz zat-e-haq bin main be-sabaat paya

    yu nafs-e-dun hawa sun pakDe liya tha meri

    murshid ki kafash uThain us sun najat paya

    yu qaul o feal mera mujh iKHtiyar sun nin

    hat panj mat ki main aapas ki zat paya

    taslim kar apas kun us ki raza ke upar

    mahbub ka apas par nit iltifat paya

    ja but-kade mein dekha chashm-e-yagangi sun

    haq bin nahin disya gar uzza-o-lat paya

    ism-o-sifat ka jalwa ism-o-sifat mein dekha

    har zat kun KHuda ki main ain-e-zat paya

    qatra hai ain-e-dariya dariya hai ain-e-qatra

    bhi donon ghair hi hain nadir yu baat paya

    har shai hai ain-e-har-shai bhi shai hai ghair-e-har-shai

    murshid ke lutf sun main kya KHub baat paya

    mahtab-e-ilm sulga gul-rez marifat ke

    kar jahal ko hawai KHush shabbaraat paya

    run run zaban karun to us ki sana na sar si

    'qurbi' karam sun haq ki kya KHush-nikat paya

    Source:

    Deewan-e-Qurbi (Pg. e-book-60 page-44)

    • Author: Qurbi Velori
      • Edition: 1964
      • Publisher: Mahtab Adni, Andhra Pradesh
      • Year of Publication: 1964
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now