Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek sa’at-e-duzdida-o-nayab se aage

Mumtaz Athar

ek sa’at-e-duzdida-o-nayab se aage

Mumtaz Athar

MORE BYMumtaz Athar

    ik sā’at-e-duzdīda-o-nāyāb se aage

    hai 'arsa-e-nā-ḳhufta koī ḳhvāb se aage

    ik 'aks hai paanī meñ farozāñ kisī gul

    aur maskan-e-gul hai kahīñ tālāb se aage

    lagtā hai ki sad mehr liye apne jilau meñ

    chaltā hai koī anjum-o-mahtāb se aage

    kyā un ko nazar aate bhalā ḳhaak meñ gauhar

    guzre jo nahīñ ḳhvāhish-e-zartāb se aage

    saa.e haiñ ka.ī saqf o dar-o-bām ke pīchhe

    barzaḳh haiñ ka.ī mimbar-o-mehrāb se aage

    ā.īna huī yuuñ hameñ lā-hāsilī apnī

    hai reg-e-ravāñ qarya-e-shādāb se aage

    ham rokte kaise dil-e-ḳhamyāza-talab ko

    jaanā thā use mauja-e-girdāb se aage

    'uryānī-e-jāñ apnī hameñ ḳhuub hai 'at.har'

    ham log ki haiñ atlas-o-kamḳhvāb se aage

    ek sa’at-e-duzdida-o-nayab se aage

    hai 'arsa-e-na-KHufta koi KHwab se aage

    ek 'aks hai pani mein farozan kisi gul ka

    aur maskan-e-gul hai kahin talab se aage

    lagta hai ki sad mehr liye apne jilau mein

    chalta hai koi anjum-o-mahtab se aage

    kya un ko nazar aate bhala KHak mein gauhar

    guzre jo nahin KHwahish-e-zartab se aage

    sae hain kai saqf o dar-o-baam ke pichhe

    barzaKH hain kai mimbar-o-mehrab se aage

    aaina hui yun hamein la-hasili apni

    hai reg-e-rawan qarya-e-shadab se aage

    hum rokte kaise dil-e-KHamyaza-talab ko

    jaana tha use mauja-e-girdab se aage

    'uryani-e-jaan apni hamein KHub hai 'athar'

    hum log ki hain atlas-o-kamKHwab se aage

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now