ek sitara jo lab-e-ju se mujhe dekhta hai
ik sitāra jo lab-e-jū se mujhe dekhtā hai
bār-e-avval mire pahlū se mujhe dekhtā hai
shaam kī chup meñ sunā kartā hai dhaḌkan merī
aur kabhī sub.h ke aañsū se mujhe dekhtā hai
din kī ḳhurjīñ meñ chhupā kar koī āñkheñ apnī
shab-kade meñ kisī jugnū se mujhe dekhtā hai
ā.ina-ḳhāne meñ lā kar vo charāġh-e-tāza
sho'la-e-'aks ke jaadū se mujhe dekhtā hai
khol rakhtā hai amaañ ke vo ka.ī dar mujh par
aur kabhī chashm-e-hadaf-jū se mujhe dekhtā hai
saf-ba-saf kar ke mujhe apne muqābil aksar
vo mire āhan-o-bāzū se mujhe dekhtā hai
daam dar daam bichhā kar koī hairat apnī
dasht meñ vahshat-e-āhū se mujhe dekhtā hai
apnī poroñ meñ parakhtā hai mujhe rangoñ se
aur kabhī ḳhuun kī ḳhushbū se mujhe dekhtā hai
ḳhud ko poshīda rakhūñ us se to kaise 'at.har'
dekhtā hai to vo har-sū se mujhe dekhtā hai
ek sitara jo lab-e-ju se mujhe dekhta hai
bar-e-awwal mere pahlu se mujhe dekhta hai
sham ki chup mein suna karta hai dhaDkan meri
aur kabhi subh ke aansu se mujhe dekhta hai
din ki KHurjin mein chhupa kar koi aankhen apni
shab-kade mein kisi jugnu se mujhe dekhta hai
aaina-KHane mein la kar wo charagh-e-taza
sho'la-e-'aks ke jadu se mujhe dekhta hai
khol rakhta hai aman ke wo kai dar mujh par
aur kabhi chashm-e-hadaf-ju se mujhe dekhta hai
saf-ba-saf kar ke mujhe apne muqabil aksar
wo mere aahan-o-bazu se mujhe dekhta hai
dam dar dam bichha kar koi hairat apni
dasht mein wahshat-e-ahu se mujhe dekhta hai
apni poron mein parakhta hai mujhe rangon se
aur kabhi KHun ki KHushbu se mujhe dekhta hai
KHud ko poshida rakhun us se to kaise 'athar'
dekhta hai to wo har-su se mujhe dekhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.