ek talluq tha faqat is ke siwa kuchh bhi nahin
ik ta'alluq thā faqat is ke sivā kuchh bhī nahīñ
chhoḌ ke jab vo gayā maiñ ne kahā kuchh bhī nahīñ
kaam to kuchh aur bhī kar lete ham yāroñ magar
ham ne to is 'ishq se baḌh kar kiyā kuchh bhī nahīñ
phir se lauTā do mujhe gumnāmī kī tanhā.iyāñ
shohratoñ kī bhiiḌ meñ mujh ko milā kuchh bhī nahīñ
vaqt-e-ruḳhsat us kī āñkheñ kuchh to kahtī thiiñ mujhe
shor dil meñ itnā thā maiñ ne sunā kuchh bhī nahīñ
bābū-jī ne barsoñ pahle ghar kā baTvārā kiyā
maañ ke aur un ke sivā maiñ ne liyā kuchh bhī nahīñ
ye mohabbat gar nahīñ to aur kyā hai ham-nashīñ
baa'd muddat ke mile haiñ par gila kuchh bhī nahīñ
saikḌoñ TukḌe tū chāhe kar de is ke jān-e-man
aa.ina to boltā sach ke sivā kuchh bhī nahīñ
ye sahī hai dil mirā toḌā usī ne dosto
bevafā vo hai magar us kī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
ek ta'alluq tha faqat is ke siwa kuchh bhi nahin
chhoD ke jab wo gaya main ne kaha kuchh bhi nahin
kaam to kuchh aur bhi kar lete hum yaron magar
hum ne to is 'ishq se baDh kar kiya kuchh bhi nahin
phir se lauTa do mujhe gumnami ki tanhaiyan
shohraton ki bhiD mein mujh ko mila kuchh bhi nahin
waqt-e-ruKHsat us ki aankhen kuchh to kahti thin mujhe
shor dil mein itna tha main ne suna kuchh bhi nahin
babu-ji ne barson pahle ghar ka baTwara kiya
man ke aur un ke siwa main ne liya kuchh bhi nahin
ye mohabbat gar nahin to aur kya hai ham-nashin
ba'd muddat ke mile hain par gila kuchh bhi nahin
saikDon TukDe tu chahe kar de is ke jaan-e-man
aaina to bolta sach ke siwa kuchh bhi nahin
ye sahi hai dil mera toDa usi ne dosto
bewafa wo hai magar us ki KHata kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.