Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek to KHud apni ghamgini

Hairat shimlavii

ek to KHud apni ghamgini

Hairat shimlavii

MORE BYHairat shimlavii

    ik to ḳhud apnī ġhamgīnī

    us par un nukta-chīnī

    apnī shīrīnī bhī talḳhī

    un talḳhī bhī shīrīnī

    khul jā.egā ye bhī ik din

    kis ne kis rāhat chhīnī

    kaafī hai kyā ye kah denā

    sab hālāt hai sañgīnī

    kar nahīñ saktī ham ko qaa.il

    sirf ibārat rañgīnī

    hai ye vafā vo jurm-e-mohabbat

    hai jis ke pādāsh yaqīnī

    kyā ma.alūm kisī mushkil

    ḳhuddārī hai ḳhud-bīnī

    aap rā-e-ālī kyā hai

    diin hai behtar be-dīnī

    kyā kahnā us hosh-o-ḳhirad

    sūjhtī hai jis shauqīnī

    apne dāman ko bhī dekheñ

    ho manzūr jinheñ gul-chīnī

    achchhe achchhoñ ko ai hairat

    le Duubī hai be-ā.īñī

    ek to KHud apni ghamgini

    us par un ki nukta-chini

    apni shirini bhi talKHi

    un ki talKHi bhi shirini

    khul jaega ye bhi ek din

    kis ne kis ki rahat chhini

    kafi hai kya ye kah dena

    sab haalat ki hai sangini

    kar nahin sakti hum ko qail

    sirf ibarat ki rangini

    hai ye wafa wo jurm-e-mohabbat

    hai jis ke padash yaqini

    kya malum kisi ki mushkil

    KHuddari hai ya KHud-bini

    aap ki ra-e-ali kya hai

    din hai behtar ya be-dini

    kya kahna us hosh-o-KHirad ka

    sujhti hai jis ki shauqini

    apne daman ko bhi dekhen

    ho manzur jinhen gul-chini

    achchhe achchhon ko ai hairat

    le Dubi hai be-aini

    Source:

    NUQOOSH (Pg. 176)

    • Author: Mohammad Tufail
      • Edition: Vol. 61,62Edition Jun/ Feb 1957
      • Publisher: Idarah Forogh-e-urdu, Lahore
      • Year of Publication: Vol. 61,62Edition Jun/ Feb 1957
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now