ek umr apni zat ke andar rahe the hum
ik 'umr apnī zaat ke andar rahe the ham
banñe se pahle devtā patthar rahe the ham
aane meñ der kar dī vagarna tū dekhtā
ik husn-e-be-misāl kā paikar rahe the ham
vo baat ham batāte bhalā kis tarah tujhe
ḳhud ko jise batāte hue Dar rahe the ham
ham ko ye maan thā vo samajhtā hai ham-safar
us kī nazar meñ miil kā patthar rahe the ham
lauTe to ajnabī se lage rāste hameñ
kuchh din hī apne gaañv se bāhar rahe the ham
ek 'umr apni zat ke andar rahe the hum
banne se pahle dewta patthar rahe the hum
aane mein der kar di wagarna tu dekhta
ek husn-e-be-misal ka paikar rahe the hum
wo baat hum batate bhala kis tarah tujhe
KHud ko jise batate hue Dar rahe the hum
hum ko ye man tha wo samajhta hai ham-safar
us ki nazar mein mil ka patthar rahe the hum
lauTe to ajnabi se lage raste hamein
kuchh din hi apne ganw se bahar rahe the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.