ek wo hain jo kufr baken to nara hai aur tali hai
ik vo haiñ jo kufr bakeñ to nā'ra hai aur taalī hai
ik ham haiñ jo sach boleñ to DanDā hai aur gaalī hai
chartī hai aġhyār ke sabze detī hai ghar apne duudh
maiñ us charvāhe ke sadqe bhaiñs ye jis ne paalī hai
mausam yuuñ to badal rahā hai ḳhizāñ ke Dere Daale haiñ
sāvan ke jitne andhe haiñ un ke ghar hariyālī hai
'ishq karo to hosh meñ aa kar āgā-pīchhā bhī dekho
hai kis turram ḳhaañ kī beTī kis rustam kī saalī hai
jis ko dekho vo apne ko shā'ir samjhe baiThā hai
maiñ 'ġhālib' huuñ ye 'momin' hai vo maulānā 'hālī' hai
husn kaTīlā ho to us ke mirzā jī bhī 'āshiq' haiñ
husn vo chāhe amrīkan hai yā koī bangālī hai
ek wo hain jo kufr baken to na'ra hai aur tali hai
ek hum hain jo sach bolen to DanDa hai aur gali hai
charti hai aghyar ke sabze deti hai ghar apne dudh
main us charwahe ke sadqe bhains ye jis ne pali hai
mausam yun to badal raha hai KHizan ke Dere Dale hain
sawan ke jitne andhe hain un ke ghar hariyali hai
'ishq karo to hosh mein aa kar aaga-pichha bhi dekho
hai kis turram KHan ki beTi kis rustam ki sali hai
jis ko dekho wo apne ko sha'ir samjhe baiTha hai
main 'ghaalib' hun ye 'momin' hai wo maulana 'haali' hai
husn kaTila ho to us ke mirza ji bhi 'ashiq' hain
husn wo chahe amrikan hai ya koi bangali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.