Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in aansuon ki rawani ka koi rang nahin

Dheerendra Singh Faiyaz

in aansuon ki rawani ka koi rang nahin

Dheerendra Singh Faiyaz

MORE BYDheerendra Singh Faiyaz

    in āñsuoñ ravānī koī rang nahīñ

    hamārī aañkh ke paanī koī rang nahīñ

    koī bhī rang mayassar nahīñ mujhe yā'nī

    mire vujūd-o-nishānī koī rang nahīñ

    kisī-kisī kahānī meñ rang haiñ kyā-kyā

    kisī-kisī kahānī koī rang nahīñ

    na shakl karb koī na sūrateñ dukh

    hamārī soz-e-nihānī koī rang nahīñ

    kabhī to rang matlab nahīñ nikaltā hai

    kabhī hamāre ma'ānī koī rang nahīñ

    sivā.e zard na kar paa.e apne bachpan ko

    javāñ hue to javānī koī rang nahīñ

    akele misra'-e-avval meñ koī ruup nahīñ

    akele misra'-e-sānī koī rang nahīñ

    in aansuon ki rawani ka koi rang nahin

    hamari aankh ke pani ka koi rang nahin

    koi bhi rang mayassar nahin mujhe ya'ni

    mere wujud-o-nishani ka koi rang nahin

    kisi-kisi ki kahani mein rang hain kya-kya

    kisi-kisi ki kahani ka koi rang nahin

    na shakl karb ki koi na suraten dukh ki

    hamari soz-e-nihani ka koi rang nahin

    kabhi to rang ka matlab nahin nikalta hai

    kabhi hamare ma'ani ka koi rang nahin

    siwae zard na kar pae apne bachpan ko

    jawan hue to jawani ka koi rang nahin

    akele misra'-e-awwal mein koi rup nahin

    akele misra'-e-sani ka koi rang nahin

    Source :
    • Book : Khaamushi Raasta Nikaalegi (Pg. 40)
    • Author : Dheerendra Singh Faiyaz
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : 3rd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now