in dinon yar ke kuchh zehn-nashin aur bhi hai
in dinoñ yaar ke kuchh zehn-nashīñ aur bhī hai
jāntā hai ki nashist un kī kahīñ aur bhī hai
ek dil thā so diyā aur kahāñ se lā.ūñ
jhūTh kahiye to maiñ kah duuñ ki nahīñ aur bhī hai
nāz-e-bejā na kiyā kījiye ham se itnā
isī andāz kā ik yār-e-hasīñ aur bhī hai
kahiyo us ġhairat-e-lailā se ye paiġhām sabā
pahlū-e-qais meñ ik dasht-nashīñ aur bhī hai
mere bulvāne kā ehsān jatāo na bahut
mehrbāñ ek but-e-parda-nashīñ aur bhī hai
in radīfoñ meñ ġhazal kyoñ na ho dushvār 'akbar'
nā-tarāshīda koī aisī zamīñ aur bhī hai
in dinon yar ke kuchh zehn-nashin aur bhi hai
jaanta hai ki nashist un ki kahin aur bhi hai
ek dil tha so diya aur kahan se laun
jhuTh kahiye to main kah dun ki nahin aur bhi hai
naz-e-beja na kiya kijiye hum se itna
isi andaz ka ek yar-e-hasin aur bhi hai
kahiyo us ghairat-e-laila se ye paigham saba
pahlu-e-qais mein ek dasht-nashin aur bhi hai
mere bulwane ka ehsan jatao na bahut
mehrban ek but-e-parda-nashin aur bhi hai
in radifon mein ghazal kyon na ho dushwar 'akbar'
na-tarashida koi aisi zamin aur bhi hai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 69)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.