in ilm-o-agahi ki kitabon mein kuchh nahin

Basheer Ahmad Shad

in ilm-o-agahi ki kitabon mein kuchh nahin

Basheer Ahmad Shad

MORE BYBasheer Ahmad Shad

  in ilm-o-āgahī kitāboñ meñ kuchh nahīñ

  kyā DhūñDhtā hai yaar nisāboñ meñ kuchh nahīñ

  ḳhushbū ko DhūñDne tamannā hai kis liye

  kuchh aur dekh sūkhe gulāboñ meñ kuchh nahīñ

  jab apne paas pyaar sūrat nahīñ rahī

  chhoḌo ḳhayāl-e-dost ki ḳhvāboñ meñ kuchh nahīñ

  vo shahr miT chukā jo basāyā thā pyaar

  kyā DhūñDte ho yaar ḳharāboñ meñ kuchh nahīñ

  ho aañkh meñ surūr to kyā mai-kade se kaam

  sāġhar meñ kuchh nahīñ hai sharāboñ meñ kuchh nahīñ

  in ilm-o-agahi ki kitabon mein kuchh nahin

  kya DhunDhta hai yar nisabon mein kuchh nahin

  KHushbu ko DhunDne ki tamanna hai kis liye

  kuchh aur dekh sukhe gulabon mein kuchh nahin

  jab apne pas pyar ki surat nahin rahi

  chhoDo KHayal-e-dost ki KHwabon mein kuchh nahin

  wo shahr miT chuka jo basaya tha pyar ka

  kya DhunDte ho yar KHarabon mein kuchh nahin

  ho aankh mein surur to kya mai-kade se kaam

  saghar mein kuchh nahin hai sharabon mein kuchh nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY