Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in lafzon mein KHud ko DhunDungi main bhi

Humaira Rahman

in lafzon mein KHud ko DhunDungi main bhi

Humaira Rahman

MORE BYHumaira Rahman

    in lafzoñ meñ ḳhud ko DhūñDūñgī maiñ bhī

    apnī anā manzar dekhūñgī maiñ bhī

    koī mire baare meñ na kuchh bhī jaan sake

    ab aisā lahja apnā.ūñgī maiñ bhī

    āñkhoñ se chun kar sab TūTe-phūTe ḳhvāb

    patthar ḳhvāhish ban jā.ūñgī maiñ bhī

    maiñ ḳhud apnī soch mujrim Thahrī huuñ

    ab ye adālat ḳhud jhelūñgī maiñ bhī

    kis kis rañg meñ ilhāmāt utarte haiñ

    kis kis rūdādeñ likkhūñgī maiñ bhī

    tasvīroñ ke maddham rañg batāte haiñ

    apne ko pahchān na pā.ūñgī maiñ bhī

    dukh meñ 'humairā' apnī hifāzat karne ko

    pichhle sabhī aaseb bulā.ūñgī maiñ bhī

    in lafzon mein KHud ko DhunDungi main bhi

    apni ana ka manzar dekhungi main bhi

    koi mere bare mein na kuchh bhi jaan sake

    ab aisa lahja apnaungi main bhi

    aankhon se chun kar sab TuTe-phuTe KHwab

    patthar ki KHwahish ban jaungi main bhi

    main KHud apni soch ki mujrim Thahri hun

    ab ye adalat KHud hi jhelungi main bhi

    kis kis rang mein ilhamat utarte hain

    kis kis ki rudaden likkhungi main bhi

    taswiron ke maddham rang batate hain

    apne ko pahchan na paungi main bhi

    dukh mein 'humaira' apni hifazat karne ko

    pichhle sabhi aaseb bulaungi main bhi

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    in lafzon mein khud ko dhoondungi mein bhi Azra Naqvi

    Source:

    URDU INTERNATIONAL (Pg. 141)

    • Author: Ashfaq Hussain
      • Edition: February 1983,Issue No: 1 ,Volume 2
      • Publisher: 9-Thirty fifth Street, Suite 2, Toronto, Ontario, Canada M8W 3J8
      • Year of Publication: February 1983,Issue No: 1 ,Volume 2
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now