aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in zalimon ko jaur siwa kaam hi nahin

Taban Abdul Hai

in zalimon ko jaur siwa kaam hi nahin

Taban Abdul Hai

MORE BYTaban Abdul Hai

    in zālimoñ ko jaur sivā kaam nahīñ

    goyā ki un ke zulm anjām nahīñ

    ġham vasl meñ hai hijr hijrāñ meñ vasl

    hargiz kisī tarah mujhe ārām nahīñ

    kyā kyā ḳharābiyāñ maiñ tire vāste sahīñ

    tis par bhī chāhne mire naam nahīñ

    ab ham dinoñ ko apne na ro.eñ to kyā kareñ

    karne the jin meñ aish ve ayyām nahīñ

    ve shaḳhs jin se faḳhr jahāñ ko thā ab ve haa.e

    aise ga.e ki un kahīñ naam nahīñ

    tum jo har ik ke dil ko satāte ho kyā miyāñ

    āġhāz jafā ke kuchh anjām nahīñ

    'tābāñ' batā maiñ ijz kahāñ tak kiyā karūñ

    juz tark-e-mehr-yār paiġhām nahīñ

    in zalimon ko jaur siwa kaam hi nahin

    goya ki un ke zulm ka anjam hi nahin

    gham wasl mein hai hijr ka hijran mein wasl ka

    hargiz kisi tarah mujhe aaram hi nahin

    kya kya KHarabiyan main tere waste sahin

    tis par bhi chahne ka mere nam hi nahin

    ab hum dinon ko apne na roen to kya karen

    karne the jin mein aish we ayyam hi nahin

    we shaKHs jin se faKHr jahan ko tha ab we hae

    aise gae ki un ka kahin nam hi nahin

    tum jo har ek ke dil ko satate ho kya miyan

    aaghaz ka jafa ke kuchh anjam hi nahin

    'taban' bata main ijz kahan tak kiya karun

    juz tark-e-mehr-yar ka paigham hi nahin

    Source:

    Deewan-e-Taban Rekhta Website) (Pg. 122)

      • Edition: 1935
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now