inhin hathon se apni zindagi ko chhu ke dekha tha
inhīñ hāthoñ se apnī zindagī ko chhū ke dekhā thā
vo thā ik ḳhvāb yā maiñ ne kisī ko chhū ke dekhā thā
ka.ī rangoñ ke manzar aaj bhī raqsāñ haiñ āñkhoñ meñ
mirī āñkhoñ ne aisī sādgī ko chhū ke dekhā thā
'ajab sī aag meñ jalne lagā saarā badan merā
mire hoñThoñ ne us kī tishnagī ko chhū ke dekhā thā
kisī ke lams kā jaadū mirī rag rag meñ utrā thā
mire ehsās ne dīvāngī ko chhū ke dekhā thā
bhalā kis ko yaqīñ aa.egā merī baat par lekin
kabhī maiñ ne mujassam chāñdnī ko chhū ke dekhā thā
pighal kar bah ga.e bebāk lahroñ ke ishāroñ par
kināroñ ne 'abas chaḌhtī nadī ko chhū ke dekhā thā
inhin hathon se apni zindagi ko chhu ke dekha tha
wo tha ek KHwab ya main ne kisi ko chhu ke dekha tha
kai rangon ke manzar aaj bhi raqsan hain aankhon mein
meri aankhon ne aisi sadgi ko chhu ke dekha tha
'ajab si aag mein jalne laga sara badan mera
mere honThon ne us ki tishnagi ko chhu ke dekha tha
kisi ke lams ka jadu meri rag rag mein utra tha
mere ehsas ne diwangi ko chhu ke dekha tha
bhala kis ko yaqin aaega meri baat par lekin
kabhi main ne mujassam chandni ko chhu ke dekha tha
pighal kar bah gae bebak lahron ke ishaaron par
kinaron ne 'abas chaDhti nadi ko chhu ke dekha tha
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 64)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.