Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inikas-e-tishnagi sahra bhi hai dariya bhi hai

Ahmad Shahryar

inikas-e-tishnagi sahra bhi hai dariya bhi hai

Ahmad Shahryar

MORE BYAhmad Shahryar

    in.ikās-e-tishnagī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    tar-ba-tar ye raushnī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    aag par merā tasarruf aab par merī giraft

    merī muTThī meñ abhī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    jhiil meñ Thahrā huā hai us aks-e-ātishīñ

    aa.ine meñ is ghaḌī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    jal uTheñ yādoñ qindīleñ sadā.eñ Duub jaa.eñ

    dar-haqīqat ḳhāmushī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    zinda lauT aayā huuñ jañgal se to kyā jā-e-malāl

    mere raste meñ abhī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    koī ḳheme raakh kar de koī baazū chhīn le

    ek ġhārat-garī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    ret par rakhkhūñ tujhe bahte paanī meñ bahā.ūñ

    dekh ai tishna-labī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    bagūlā hai ki hai girdāb ai raqs-e-davām

    faisla kar le abhī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    dasht bhī us rivāyat meñ hai mauj-e-āb bhī

    merī āñkhoñ namī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    sambhālegā bhalā kaise ye saarī saltanat

    'shahryār'-shā.erī sahrā bhī hai dariyā bhī hai

    inikas-e-tishnagi sahra bhi hai dariya bhi hai

    tar-ba-tar ye raushni sahra bhi hai dariya bhi hai

    aag par mera tasarruf aab par meri giraft

    meri muTThi mein abhi sahra bhi hai dariya bhi hai

    jhil mein Thahra hua hai us ka aks-e-atishin

    aaine mein is ghaDi sahra bhi hai dariya bhi hai

    jal uThen yaadon ki qindilen sadaen Dub jaen

    dar-haqiqat KHamushi sahra bhi hai dariya bhi hai

    zinda lauT aaya hun jangal se to kya ja-e-malal

    mere raste mein abhi sahra bhi hai dariya bhi hai

    koi KHeme rakh kar de koi bazu chhin le

    ek si ghaarat-gari sahra bhi hai dariya bhi hai

    ret par rakhkhun tujhe ya bahte pani mein bahaun

    dekh ai tishna-labi sahra bhi hai dariya bhi hai

    tu bagula hai ki hai girdab ai raqs-e-dawam

    faisla kar le abhi sahra bhi hai dariya bhi hai

    dasht bhi us ki riwayat mein hai mauj-e-ab bhi

    meri aankhon ki nami sahra bhi hai dariya bhi hai

    tu sambhaalega bhala kaise ye sari saltanat

    'shahryar'-shaeri sahra bhi hai dariya bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now