Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

insaf ki gardan par KHanjar KHud chalte dekha kya kahiye

Abul Fitrat Meer Zaidi

insaf ki gardan par KHanjar KHud chalte dekha kya kahiye

Abul Fitrat Meer Zaidi

MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi

    insāf gardan par ḳhanjar ḳhud chalte dekhā kyā kahiye

    ahbāb-parastī ke chakkar meñ paḌ ga.ī duniyā kyā kahiye

    phir zikr-e-sadāqat chheḌ ke apnī jaan dushman kaun bane

    duniyā nigāhoñ ne dekhā duniyā tamāshā kyā kahiye

    vo dekh havas ke dosh pe shāyad 'ishq mayyat jaatī hai

    ab is duniyā meñ kyā hogā ahl-e-vafā kyā kahiye

    jo aaj sunahrī pardoñ meñ chehroñ ko chhupā.e baiThe haiñ

    taqdīr ke māroñ se un kal vā'da kyā thā kyā kahiye

    jis bastī meñ insānoñ dil ġham ke hāthoñ chhalnī ho

    us bastī meñ basne vāloñ ke dil tamanna kyā kahiye

    kuchh log yahāñ haiñ aise bhī kal sab kuchh the ab kuchh bhī nahīñ

    baaqī hai faqat tanhā.ī meñ ashkoñ sahārā kyā kahiye

    ġhairoñ ke sitam se bach nikle apnoñ ke karam se bach na sake

    aise meñ agar majbūr kare ġhairat taqāzā kyā kahiye

    kahte haiñ guzashta daur ko phir tārīḳh jahāñ dohrātī hai

    kis dhun meñ gaatā phirtā hai taqdīr dhārā kyā kahiye

    duniyā meñ se jā.egā kaun amn-e-‘ālam ḳhātir

    ye vaqt batā.egā baiThe kis karvaT duniyā kyā kahiye

    har ek mujāhid se lākhoñ ummīdeñ haiñ mazlūmoñ ko

    is TuuTī naav kaun bane kis vaqt sahārā kyā kahiye

    insaf ki gardan par KHanjar KHud chalte dekha kya kahiye

    ahbab-parasti ke chakkar mein paD gai duniya kya kahiye

    phir zikr-e-sadaqat chheD ke apni jaan ka dushman kaun bane

    duniya ki nigahon ne dekha duniya ka tamasha kya kahiye

    wo dekh hawas ke dosh pe shayad 'ishq ki mayyat jati hai

    ab is duniya mein kya hoga ahl-e-wafa ka kya kahiye

    jo aaj sunahri pardon mein chehron ko chhupae baiThe hain

    taqdir ke maron se un ka kal wa'da kya tha kya kahiye

    jis basti mein insanon ka dil gham ke hathon chhalni ho

    us basti mein basne walon ke dil ki tamanna kya kahiye

    kuchh log yahan hain aise bhi kal sab kuchh the ab kuchh bhi nahin

    baqi hai faqat tanhai mein ashkon ka sahaara kya kahiye

    ghairon ke sitam se bach nikle apnon ke karam se bach na sake

    aise mein agar majbur kare ghairat ka taqaza kya kahiye

    kahte hain guzashta daur ko phir tariKH jahan dohraati hai

    kis dhun mein gata phirta hai taqdir ka dhaara kya kahiye

    duniya mein ji se jaega kaun amn-e-‘alam ki KHatir

    ye waqt bataega baiThe kis karwaT duniya kya kahiye

    har ek mujahid se lakhon ummiden hain mazlumon ko

    is TuTi naw ka kaun bane kis waqt sahaara kya kahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now