iqrar koi aur na inkar chup raho
iqrār koī aur na inkār chup raho
be-sūd saarī garmī-e-guftār chup raho
alfāz buz-diloñ ke haiñ hathiyār sāthiyo
donoñ taraf hai haath meñ talvār chup raho
chāhe tum is ko roz girāo tamām 'umr
tā'mīr roz hogī ye dīvār chup raho
filmoñ meñ jang dekhī hai is nasl ne abhī
sach-much bhī dekh lene do ik baar chup raho
tum shā'irī karo ye tumhārā nahīñ hai kaam
ye tai kareñge fauj ke sardār chup raho
āñkhoñ meñ ġhaiz shakl pe saḳhtī bhañvoñ meñ bal
dekho bigaḌ bhī sakte haiñ sarkār chup raho
kah do 'amīr-imām' se koī nahīñ husūl
hai mīr-sāhibī abhī bekār chup raho
iqrar koi aur na inkar chup raho
be-sud sari garmi-e-guftar chup raho
alfaz buz-dilon ke hain hathiyar sathiyo
donon taraf hai hath mein talwar chup raho
chahe tum is ko roz girao tamam 'umr
ta'mir roz hogi ye diwar chup raho
filmon mein jang dekhi hai is nasl ne abhi
sach-much bhi dekh lene do ek bar chup raho
tum sha'iri karo ye tumhaara nahin hai kaam
ye tai karenge fauj ke sardar chup raho
aankhon mein ghaiz shakl pe saKHti bhanwon mein bal
dekho bigaD bhi sakte hain sarkar chup raho
kah do 'amir-imam' se koi nahin husul
hai mir-sahibi abhi bekar chup raho
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 91)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.