Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iradon ka badan koi bhi painda nahin rakhta

Akhtar Shaikh

iradon ka badan koi bhi painda nahin rakhta

Akhtar Shaikh

MORE BYAkhtar Shaikh

    irādoñ badan koī bhī pā.inda nahīñ rakhtā

    mirā ism-e-mukabbir mujhe zinda nahīñ rakhtā

    ab us hākimiyyat chand pahroñ tak simaT aa.ī

    vo aise haal meñ bhī fikr-e-ā.inda nahīñ rakhtā

    chalā aatā huuñ maiñ ilzām se pahle kaTahre meñ

    adālat meñ anā ḳhud ko sharminda nahīñ rakhtā

    sabhī lahjoñ ne dars-e-āfiyat to yaad rakkhā hai

    musāvī soch lekin koī bāshinda nahīñ rakhtā

    maiñ aise sar-phire logoñ meñ bastā huuñ jahāñ 'aḳhtar'

    qabīla ḳhatm ho jaa.e numā.inda nahīñ rakhtā

    iradon ka badan koi bhi painda nahin rakhta

    mera ism-e-mukabbir hi mujhe zinda nahin rakhta

    ab us ki hakimiyyat chand pahron tak simaT aai

    wo aise haal mein bhi fikr-e-ainda nahin rakhta

    chala aata hun main ilzam se pahle kaTahre mein

    adalat mein ana ki KHud ko sharminda nahin rakhta

    sabhi lahjon ne dars-e-afiyat to yaad rakkha hai

    musawi soch lekin koi bashinda nahin rakhta

    main aise sar-phire logon mein basta hun jahan 'aKHtar'

    qabila KHatm ho jae numainda nahin rakhta

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now