Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

irfan ki faza mein farzangi se daman

Mujeeb Iman

irfan ki faza mein farzangi se daman

Mujeeb Iman

MORE BYMujeeb Iman

    irfān fazā meñ farzāngī se dāman

    ā.īna sub.h ko ho shab namī se dāman

    jazbāt jilau meñ shā.istagī se dāman

    sar-chashma zindagī ho zindagī se dāman

    ehsās ḳhalish se tanhā.ī tapish se

    rishtoñ tāzgī ho tar-dāmanī se dāman

    shīsha-garoñ qismat abr-e-ravāñ qurbat

    shola-fishāñ ho varna shīshagarī se dāman

    zar havas se ḳhālī rūhāniyat paikar

    maġhrib vādiyoñ meñ vābastagī se dāman

    'īmān' shuā.eñ jalva-numā hoñ jis dam

    mīnār raushnī ho raushnī se dāman

    irfan ki faza mein farzangi se daman

    aaina subh ko ho shab ki nami se daman

    jazbaat ki jilau mein shaistagi se daman

    sar-chashma zindagi ka ho zindagi se daman

    ehsas ki KHalish se tanhai ki tapish se

    rishton ki tazgi ho tar-damani se daman

    shisha-garon ki qismat abr-e-rawan ki qurbat

    shola-fishan ho warna shishagari se daman

    zar ki hawas se KHali ruhaniyat ka paikar

    maghrib ki wadiyon mein wabastagi se daman

    'iman' ki shuaen jalwa-numa hon jis dam

    minar raushni ka ho raushni se daman

    Source:

    Shora-e-London (Pg. 39)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now