is Dar se maine zulf ki uski na baat ki
is Dar se maiñ ne zulf kī us kī na baat kī
jaatī hai duur duur tak āvāz raat kī
dekhā jab aañkh khol ke misl-e-habāb tab
ma.alūm kā.enāt huī kā.enāt kī
us bulbul-e-chaman kī huī āqibat ba-ḳhair
saa.e meñ jis ne aan ke gul ke vafāt kī
maiñ huuñ sifāt hī ke tahayyur meñ ham-nashīñ
kyā baat mujh se pūchhe hai tū us kī zaat kī
dil apnā us ko dījiye yā jī ko khoiye
is ke sivā tarah nahīñ koī najāt kī
bolā agar to qand-e-mukarrar hue vo lab
aur chup rahā to ye bhī hai sūrat nabāt kī
vāqif ho kyuuñ na shola-e-ātish se dil ke vo
rahtī hai bāġhbāñ ko ḳhabar phuul paat kī
shah chaal ho rahā huuñ sanam tere ishq meñ
tū ne dikhā ke ruḳh mirī baazī hī maat kī
zulf-e-araq-fishāñ tirī jāñ-baḳhsh kyuuñ na ho
tarkīb us ne paa.ī hai āb-e-hayāt kī
us sar se ġhair sar nahīñ vāqif koī ġharaz
lazzat bayāñ meñ aatī nahīñ terī laat kī
chuuñ zindagī-o-marg haiñ aapas meñ zid 'hasan'
chashm-o-lab us kī zid hai hayāt o mamāt kī
is Dar se main ne zulf ki us ki na baat ki
jati hai dur dur tak aawaz raat ki
dekha jab aankh khol ke misl-e-habab tab
malum kaenat hui kaenat ki
us bulbul-e-chaman ki hui aaqibat ba-KHair
sae mein jis ne aan ke gul ke wafat ki
main hun sifat hi ke tahayyur mein ham-nashin
kya baat mujh se puchhe hai tu us ki zat ki
dil apna us ko dijiye ya ji ko khoiye
is ke siwa tarah nahin koi najat ki
bola agar to qand-e-mukarrar hue wo lab
aur chup raha to ye bhi hai surat nabaat ki
waqif ho kyun na shola-e-atish se dil ke wo
rahti hai baghban ko KHabar phul pat ki
shah chaal ho raha hun sanam tere ishq mein
tu ne dikha ke ruKH meri bazi hi mat ki
zulf-e-araq-fishan teri jaan-baKHsh kyun na ho
tarkib us ne pai hai aab-e-hayat ki
us sar se ghair sar nahin waqif koi gharaz
lazzat bayan mein aati nahin teri lat ki
chun zindagi-o-marg hain aapas mein zid 'hasan'
chashm-o-lab us ki zid hai hayat o mamat ki
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.