is dukh ka tamannai banata na use main
is dukh kā tamannā.ī banātā na use maiñ
ai kaash kabhī dil se lagātā na use maiñ
ham 'ishq se puure nahīñ hote the vagarna
duniyā vo kabhī mujh ko dikhātā na use maiñ
taḳhlīq yahāñ bā'is-e-takmīl-e-ḳhalā hai
varna na ḳhudā mujh ko banātā na use maiñ
bas qurb se bujhtī hai kahāñ aag badan kī
sote hue varna to jagātā na use maiñ
donoñ hī suḳhan-fahm haiñ donoñ ko hai ye mauj
yuuñ hī vo ġhazal mujh ko sunātā na use maiñ
be-vaj.h tavaqqo' hī nahīñ rahtī kisī se
bhātī na kabhī vo mujhe bhātā na use maiñ
is dukh ka tamannai banata na use main
ai kash kabhi dil se lagata na use main
hum 'ishq se pure nahin hote the wagarna
duniya wo kabhi mujh ko dikhata na use main
taKHliq yahan ba'is-e-takmil-e-KHala hai
warna na KHuda mujh ko banata na use main
bas qurb se bujhti hai kahan aag badan ki
sote hue warna to jagata na use main
donon hi suKHan-fahm hain donon ko hai ye mauj
yun hi wo ghazal mujh ko sunata na use main
be-wajh tawaqqo' hi nahin rahti kisi se
bhati na kabhi wo mujhe bhata na use main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.