is ehtimam se tujhko kabhi pukarunga
is ehtimām se tujh ko kabhī pukārūñgā
maiñ apne naam se tujh ko kabhī pukārūñgā
jahāñ na harf koī saut nai sadā hogī
maiñ us maqām se tujh ko kabhī pukārūñgā
tamām 'arsh kī raunaq zamīñ pe utregī
maiñ dhūm-dhām se tujh ko kabhī pukārūñgā
mah-e-tamām ho sar par qadam-qadam pe charāġh
is intizām se tujh ko kabhī pukārūñgā
shafaq se nuur kā rishta hai terī yādoñ kā
farāz-e-shām se tujh ko kabhī pukārūñgā
is ehtimam se tujh ko kabhi pukarunga
main apne nam se tujh ko kabhi pukarunga
jahan na harf koi saut nai sada hogi
main us maqam se tujh ko kabhi pukarunga
tamam 'arsh ki raunaq zamin pe utregi
main dhum-dham se tujh ko kabhi pukarunga
mah-e-tamam ho sar par qadam-qadam pe charagh
is intizam se tujh ko kabhi pukarunga
shafaq se nur ka rishta hai teri yaadon ka
faraaz-e-sham se tujh ko kabhi pukarunga
- Book : Ishq (Pg. 33)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.