Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski shabahat kisi shams-o-qamar mein nahin

Sabiha Saba

uski shabahat kisi shams-o-qamar mein nahin

Sabiha Saba

MORE BYSabiha Saba

    us shabāhat kisī shams-o-qamar meñ nahīñ

    ek use dekh kar koī nazar meñ nahīñ

    qāsid zohra maqām kah use merā salām

    jis nasheman mirī rāhguzar meñ nahīñ

    kyā kashish jazb-e-dil tujh meñ kamī hai ki vo

    mehvar-e-sayyārgāñ tere asar meñ nahīñ

    chashm-e-sitārā-shumār kushta-sadā intizār

    diid koī naved najm-e-sahar meñ nahīñ

    ham jo dikhāte nahīñ lāla-o-gul tarah

    ye na samajhnā koī daaġh jigar meñ nahīñ

    sabz qabā-e-chaman sirf fareb-e-nazar

    aas koñpal kisī shāḳh-e-shajar meñ nahīñ

    ek tujhī ko 'sabā' kyuuñ hai thakan gilā

    mauja-e-gul aur havā kaun safar meñ nahīñ

    us ki shabahat kisi shams-o-qamar mein nahin

    ek use dekh kar koi nazar mein nahin

    qasid zohra maqam kah use mera salam

    jis ka nasheman meri rahguzar mein nahin

    kya kashish jazb-e-dil tujh mein kami hai ki wo

    mehwar-e-sayyargan tere asar mein nahin

    chashm-e-sitara-shumar kushta-sada intizar

    did ki koi nawed najm-e-sahar mein nahin

    hum jo dikhate nahin lala-o-gul ki tarah

    ye na samajhna koi dagh jigar mein nahin

    sabz qaba-e-chaman sirf fareb-e-nazar

    aas ki konpal kisi shaKH-e-shajar mein nahin

    ek tujhi ko 'saba' kyun hai thakan ka gila

    mauja-e-gul aur hawa kaun safar mein nahin

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 692)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now