is liye aate hain sailab meri aankhon mein
is liye aate haiñ sailāb mirī āñkhoñ meñ
jāgte rahte haiñ kuchh ḳhvāb mirī āñkhoñ meñ
ye mohabbat ke baḌe ḳhaas sabaq hote haiñ
tum ne dekhe haiñ jo ādāb mirī āñkhoñ meñ
maiñ vo sahrā jahāñ ummīd nahīñ bārish kī
Dūbte jaate haiñ sairāb mirī āñkhoñ meñ
us kī yaad aa.e to āñkhoñ se ravāñ ho jaa.eñ
aaj kuchh ashk haiñ betāb mirī āñkhoñ meñ
ik taraf ghūmtī duniyā kā har ik manzar hai
ik taraf chehra-e-nāyāb mirī āñkhoñ meñ
bhej do 'āfī' tabassum kī koī taaza ḳhizāñ
zaḳhm hone lage shādāb mirī āñkhoñ meñ
is liye aate hain sailab meri aankhon mein
jagte rahte hain kuchh KHwab meri aankhon mein
ye mohabbat ke baDe KHas sabaq hote hain
tum ne dekhe hain jo aadab meri aankhon mein
main wo sahra jahan ummid nahin barish ki
Dubte jate hain sairab meri aankhon mein
us ki yaad aae to aankhon se rawan ho jaen
aaj kuchh ashk hain betab meri aankhon mein
ek taraf ghumti duniya ka har ek manzar hai
ek taraf chehra-e-nayab meri aankhon mein
bhej do 'afi' tabassum ki koi taza KHizan
zaKHm hone lage shadab meri aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.