is liye dil bura kiya hi nahin

Faizi

is liye dil bura kiya hi nahin

Faizi

MORE BYFaizi

  is liye dil burā kiyā nahīñ

  zindagī merā faisla nahīñ

  is qadar shor thā mire sar meñ

  apnī āvāz par rukā nahīñ

  baḌī ḳhvāhish thī mujh ko hone

  ho gayā huuñ to kuchh huā nahīñ

  zulm kartā huuñ zulm sahtā huuñ

  maiñ kabhī chain se rahā nahīñ

  paḌ gayā hai ḳhudā se kaam mujhe

  aur ḳhudā koī pata nahīñ

  toḌ Daalo ye haath paañv mire

  jism to muqābla nahīñ

  tum kahāñ ho zarā sadā to do

  is se aage to rāsta nahīñ

  is liye dil bura kiya hi nahin

  zindagi mera faisla hi nahin

  is qadar shor tha mere sar mein

  apni aawaz par ruka hi nahin

  baDi KHwahish thi mujh ko hone ki

  ho gaya hun to kuchh hua hi nahin

  zulm karta hun zulm sahta hun

  main kabhi chain se raha hi nahin

  paD gaya hai KHuda se kaam mujhe

  aur KHuda ka koi pata hi nahin

  toD Dalo ye hath panw mere

  jism ka to muqabla hi nahin

  tum kahan ho zara sada to do

  is se aage to rasta hi nahin

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  is liye dil bura kiya hi nahin Nomaan Shauque

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY