is mein aks aap ka utarenge
is meñ 'aks aap kā utāreñge
dil ko apne yuuñ hiiñ sañvāreñge
ham se kartī hai ye bahut ġhamze
ham bhī duniyā pe laat māreñge
rizq-e-maqsūm hī milegā use
koī duniyā meñ dauḌe yā reñge
'ishq kahtā hai lutf hoñge baḌe
hijr kahtā hai jaan māreñge
dil kī afsurdagī na jā.egī
haañ vo chāheñge to ubhāreñge
dil na dūñgā maiñ aap ko hargiz
muft meñ aap jaan māreñge
pand 'akbar' ko deñge kyā nāseh
gul ko kyā bāġhbāñ sañvāreñge
is mein 'aks aap ka utarenge
dil ko apne yun hin sanwarenge
hum se karti hai ye bahut ghamze
hum bhi duniya pe lat marenge
rizq-e-maqsum hi milega use
koi duniya mein dauDe ya renge
'ishq kahta hai lutf honge baDe
hijr kahta hai jaan marenge
dil ki afsurdagi na jaegi
han wo chahenge to ubhaarenge
dil na dunga main aap ko hargiz
muft mein aap jaan marenge
pand 'akbar' ko denge kya naseh
gul ko kya baghban sanwarenge
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 58)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.