Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is qadar tha ye gareban mera chaak miyan

Khan Janbaz

is qadar tha ye gareban mera chaak miyan

Khan Janbaz

MORE BYKhan Janbaz

    is qadar thā ye garebān mirā chaak miyāñ

    qais bhī dekh ke kahtā thā ḳhatarnāk miyāñ

    surḳh āñkheñ phaTī aap poshāk miyāñ

    hijr kaaTā hai bhalā aap ne kyā ḳhaak miyāñ

    jāvedāñ ishq ho apnā ye duā māñgī thī

    phir huā ishq anjām alamnāk miyāñ

    pheñk aayā huuñ maiñ ik rail paTrī pe badan

    ghar meñ rakhtā bhalā kab tak ḳhas-o-ḳhāshāk miyāñ

    umr bhar mujh ko kisī ek hone na diyā

    mujh se baḌh kar to mirā dil thā chālāk miyāñ

    is qadar tha ye gareban mera chaak miyan

    qais bhi dekh ke kahta tha KHatarnak miyan

    surKH aankhen na phaTi aap ki poshak miyan

    hijr kaTa hai bhala aap ne kya KHak miyan

    jawedan ishq ho apna ye dua mangi thi

    phir hua ishq ka anjam alamnak miyan

    phenk aaya hun main ek rail ki paTri pe badan

    ghar mein rakhta bhala kab tak KHas-o-KHashak miyan

    umr bhar mujh ko kisi ek ka hone na diya

    mujh se baDh kar to mera dil hi tha chaalak miyan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now