is sabab se meri taqdir tere hath mein hai
is sabab se mirī taqdīr tire haath meñ hai
hai mire paañv meñ zanjīr tire haath meñ hai
niiñd merī na kisī niiñd kī rāhat merī
ḳhvāb hai ḳhvāb kī tā'bīr tire haath meñ hai
mujh se bar-vaqt 'ibādāt kī tafsīl na pūchh
merī 'ujlat mirī tāḳhīr tire haath meñ hai
terī marzī mire jis naqsh ko jaisā kar de
ai musavvir mirī tasvīr tire haath meñ hai
kāmyābī hī mirī hai na koī nākāmī
merī koshish mirī tadbīr tire haath meñ hai
baiTh kar merī hathelī pe kahā jugnū ne
ab to ik nuur kī jāgīr tire haath meñ hai
vaar karnā tire dushman kī hai fitrat 'āsim'
na koī Dhaal na shamshīr tire haath meñ hai
is sabab se meri taqdir tere hath mein hai
hai mere panw mein zanjir tere hath mein hai
nind meri na kisi nind ki rahat meri
KHwab hai KHwab ki ta'bir tere hath mein hai
mujh se bar-waqt 'ibaadat ki tafsil na puchh
meri 'ujlat meri taKHir tere hath mein hai
teri marzi mere jis naqsh ko jaisa kar de
ai musawwir meri taswir tere hath mein hai
kaamyabi hi meri hai na koi nakaami
meri koshish meri tadbir tere hath mein hai
baiTh kar meri hatheli pe kaha jugnu ne
ab to ek nur ki jagir tere hath mein hai
war karna tere dushman ki hai fitrat 'asim'
na koi Dhaal na shamshir tere hath mein hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 47)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.