is tapte sahra mein darwaza kaisa
is tapte sahrā meñ darvāza kaisā
kitnī duur se aatī hai dastak kī sadā
ghere khaḌe the sāhil par ik nā'sh ko log
muTThī khol ke dekhī to motī niklā
ye chaTTān sī ḳhāmoshī ye ġhaar sī raat
is sannāTe kī koī tasvīr banā
vo āvāz kisī ke rone kī hī thī
maiñ ghar se bāhar aayā to koī na thā
sard na paḌ jaa.e 'zeb' us kī yaad kī aag
khiḌkī ke jalte shīshoñ se hoñTh milā
is tapte sahra mein darwaza kaisa
kitni dur se aati hai dastak ki sada
ghere khaDe the sahil par ek na'sh ko log
muTThi khol ke dekhi to moti nikla
ye chaTTan si KHamoshi ye ghaar si raat
is sannaTe ki koi taswir bana
wo aawaz kisi ke rone ki hi thi
main ghar se bahar aaya to koi na tha
sard na paD jae 'zeb' us ki yaad ki aag
khiDki ke jalte shishon se honTh mila
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 67)
- Author : Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.