is tarah se bazm mein li usne angDai ki bas
is tarah se bazm meñ lī us ne añgḌā.ī ki bas
ho ga.e shaiḳh-e-haram bhī aise shaidā.ī ki bas
mai-kade par is tarah kaalī ghaTā chhā.ī ki bas
toḌ dī tauba tabī'at aisī lalchā.ī ki bas
dil pe rakkhe haath ham pahroñ use dekhā kiye
bānu-e-shab yuuñ sitāroñ se thī gahnā.ī kī bas
har taraf majbūriyāñ dushvāriyāñ mahrūmiyāñ
zindagī kuchh aise nāzuk moḌ pe laa.ī ki bas
reza-reza ho gayā pal bhar meñ hastī kā vujūd
choT aisī ham ne rāh-e-'ishq meñ khaa.ī ki bas
ek nāgin kī tarah lamha-ba-lamha dosto
mujh ko aisī Das rahī thī shām-e-tanhā.ī ki bas
shashdar-o-hairān haiñ sun kar ġhazal ahl-e-suḳhan
fikr meñ 'ġhaibī' tirī hai aisī gahrā.ī kī bas
is tarah se bazm mein li us ne angDai ki bas
ho gae shaiKH-e-haram bhi aise shaidai ki bas
mai-kade par is tarah kali ghaTa chhai ki bas
toD di tauba tabi'at aisi lalchai ki bas
dil pe rakkhe hath hum pahron use dekha kiye
banu-e-shab yun sitaron se thi gahnai ki bas
har taraf majburiyan dushwariyan mahrumiyan
zindagi kuchh aise nazuk moD pe lai ki bas
reza-reza ho gaya pal bhar mein hasti ka wujud
choT aisi hum ne rah-e-'ishq mein khai ki bas
ek nagin ki tarah lamha-ba-lamha dosto
mujh ko aisi Das rahi thi sham-e-tanhai ki bas
shashdar-o-hairan hain sun kar ghazal ahl-e-suKHan
fikr mein 'ghaibi' teri hai aisi gahrai ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.