is tarh zindagi ko guzara karenge hum
is tarh zindagī ko guzārā kareñge ham
har saañs par tumhīñ ko pukārā kareñge ham
tanhā na hone deñge kabhī apne aap ko
yādoñ ko zindagī kā sahārā kareñge ham
dīdār karnā apne darīche se jhāñk kar
ḳhud ko tirī galī se guzārā kareñge ham
jab 'ishq ho gayā hai to kis baat kā gila
terā har ek zulm gavāra kareñge ham
tum e'timād-e-'āfī' ko mat karnā munhadim
mushkil paḌī to tum ko pukārā kareñge ham
is tarh zindagi ko guzara karenge hum
har sans par tumhin ko pukara karenge hum
tanha na hone denge kabhi apne aap ko
yaadon ko zindagi ka sahaara karenge hum
didar karna apne dariche se jhank kar
KHud ko teri gali se guzara karenge hum
jab 'ishq ho gaya hai to kis baat ka gila
tera har ek zulm gawara karenge hum
tum e'timad-e-'afi' ko mat karna munhadim
mushkil paDi to tum ko pukara karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.