is waqt kuchh ajib ghazal ki uDan hai
is vaqt kuchh 'ajīb ġhazal kī uḌaan hai
kaisī abhī zamīn abhī āsmān hai
kyā dekhtā huuñ pūchh lo mujh se vagarna phir
dīvār huuñ ki aañkh nahīñ sirf kaan hai
nekī badī ke donoñ farishte haiñ bad-havās
dar jhoñpaḌe kā band khulā āsmān hai
isbāt kuchh to mahr-e-mohabbat kā chāhiye
hoñToñ pe ab bhī us ke laboñ kā nishān hai
mumkin hai kal havelī nazar aa.e yā khañDar
jab tak havā kī zad pe Tikā hai makān hai
tanqīd kā bhī toḌ ke dekhā hai password
jo ham-navā hai us pe bahut mehrbān hai
ik dost haath dho ke hai pīchhe paḌā huā
kirdār-kush nahīñ hai magar bad-gumān hai
is waqt kuchh 'ajib ghazal ki uDan hai
kaisi abhi zamin abhi aasman hai
kya dekhta hun puchh lo mujh se wagarna phir
diwar hun ki aankh nahin sirf kan hai
neki badi ke donon farishte hain bad-hawas
dar jhonpaDe ka band khula aasman hai
isbaat kuchh to mahr-e-mohabbat ka chahiye
honTon pe ab bhi us ke labon ka nishan hai
mumkin hai kal haweli nazar aae ya khanDar
jab tak hawa ki zad pe Tika hai makan hai
tanqid ka bhi toD ke dekha hai password
jo ham-nawa hai us pe bahut mehrban hai
ek dost hath dho ke hai pichhe paDa hua
kirdar-kush nahin hai magar bad-guman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.