is zamin ka na aasman ka hai
is zamīñ kā na āsmān kā hai
kaun jaane vo kis jahān kā hai
fat.h kar lī bulandiyāñ saarī
ab to saarā safar Dhalān kā hai
tere mere ḳhayāl ek se haiñ
farq thoḌā sā bas zabān kā hai
aañkh se paTTiyāñ haTā kar dekh
ye parinda na.ī uḌaan kā hai
ghar to taqsīm hote rahte haiñ
mas.ala ab jo hai makān kā hai
she'r kahnā bhī ik samādhī hai
kaam jitnā hai gahre dhyān kā hai
is zamin ka na aasman ka hai
kaun jaane wo kis jahan ka hai
fath kar li bulandiyan sari
ab to sara safar Dhalan ka hai
tere mere KHayal ek se hain
farq thoDa sa bas zaban ka hai
aankh se paTTiyan haTa kar dekh
ye parinda nai uDan ka hai
ghar to taqsim hote rahte hain
masala ab jo hai makan ka hai
she'r kahna bhi ek samadhi hai
kaam jitna hai gahre dhyan ka hai
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 84)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.