is zist ki asas thi jaane kahan gai
is ziist kī asaas thī jaane kahāñ ga.ī
āñkhoñ meñ jo ye pyaas thī jaane kahāñ ga.ī
miltā nahīñ hai ḳhud kā bhī saayā kahīñ pe ab
ik raushnī jo paas thī jaane kahāñ ga.ī
sab kuchh to luT chukā hai faqat jism hai bachā
jiine kī jo ye aas thī jaane kahāñ ga.ī
jaane kahāñ kahāñ se khulā hai mirā badan
ik sharm hī libās thī jaane kahāñ ga.ī
itnā kasīlā ho chukā hai ab zabāñ kā svaad
lahje kī jo miThās thī jaane kahāñ ga.ī
is zist ki asas thi jaane kahan gai
aankhon mein jo ye pyas thi jaane kahan gai
milta nahin hai KHud ka bhi saya kahin pe ab
ek raushni jo pas thi jaane kahan gai
sab kuchh to luT chuka hai faqat jism hai bacha
jine ki jo ye aas thi jaane kahan gai
jaane kahan kahan se khula hai mera badan
ek sharm hi libas thi jaane kahan gai
itna kasila ho chuka hai ab zaban ka swad
lahje ki jo miThas thi jaane kahan gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.