ishaara kar ke ye kahte hain mujhse u kya hai
ishāra kar ke ye kahte haiñ mujh se uu kyā hai
namāz-e-'ishq meñ hotā nahīñ vuzū kyā hai
sitam to dekhiye chhoḌā zamāna jis ke liye
vo kah rahā hai mujhe aaj ye ki tū kyā hai
vo jāntā hai mirī hasratoñ ke baare meñ
magar ye pūchh rahā hai ki aarzū kyā hai
jahāñ bhī dekhnā bas saḳht baat kah denā
tumhārī shoḳh-mizājī hai yā ki ḳhū kyā hai
qabā.eñ apnī sañbhālo tumheñ nazar na lage
hamāre chāk-e-garebān ko rafū kyā hai
farīq donoñ biThā.e the sāmne apne
to phir batāo nā anjām-e-guftugū kyā hai
tavāf kartī jo rahtī hai mere chehre kā
tumhārī chashm-e-pareshāñ ko justujū kyā hai
tavāf karnā ho maqsad tirī galī kā jise
to us ke vāste sardī hai aur lū kyā hai
sifāt laakh hoñ 'e'jāz' us meñ kyā hāsil
bujhā sake na agar pyaas aabjū kyā hai
ishaara kar ke ye kahte hain mujh se u kya hai
namaz-e-'ishq mein hota nahin wuzu kya hai
sitam to dekhiye chhoDa zamana jis ke liye
wo kah raha hai mujhe aaj ye ki tu kya hai
wo jaanta hai meri hasraton ke bare mein
magar ye puchh raha hai ki aarzu kya hai
jahan bhi dekhna bas saKHt baat kah dena
tumhaari shoKH-mizaji hai ya ki KHu kya hai
qabaen apni sanbhaalo tumhein nazar na lage
hamare chaak-e-gareban ko rafu kya hai
fariq donon biThae the samne apne
to phir batao na anjam-e-guftugu kya hai
tawaf karti jo rahti hai mere chehre ka
tumhaari chashm-e-pareshan ko justuju kya hai
tawaf karna ho maqsad teri gali ka jise
to us ke waste sardi hai aur lu kya hai
sifat lakh hon 'e'jaz' us mein kya hasil
bujha sake na agar pyas aabju kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.