ishaaraton ki wo sharhen wo tajziya bhi gaya
ishāratoñ kī vo sharheñ vo tajziya bhī gayā
jo gird-e-matn banā thā vo hāshiya bhī gayā
vo dil-rubā se jo sapne the le uḌiiñ nīñdeñ
dhanak-nagar se vo dhuñdlā sā rābta bhī gayā
'ajīb lutf thā nādāniyoñ ke 'ālam meñ
samajh meñ aa.iiñ to bātoñ kā vo maza bhī gayā
hameñ bhī banñe sañvarne kā dhyān rahtā thā
vo ek shaḳhs ki thā ek ā.īna bhii, gayā
baḌā sukūn milā aaj us ke milne se
chalo ye dil se tavaqqo' kā vasvasa bhī gayā
guloñ ko dekh ke ab raakh yaad aatī hai
ḳhayāl kā vo suhānā talāzma bhī gayā
musāfirat pe maiñ teshe ke sañg niklā thā
jidhar gayā huuñ mire saath rāsta bhī gayā
hameñ to ek nazar nashr kar ga.ī 'anvar'
hamāre haath se dil kā musavvada bhī gayā
ishaaraton ki wo sharhen wo tajziya bhi gaya
jo gird-e-matn bana tha wo hashiya bhi gaya
wo dil-ruba se jo sapne the le uDin ninden
dhanak-nagar se wo dhundla sa rabta bhi gaya
'ajib lutf tha nadaniyon ke 'alam mein
samajh mein aain to baaton ka wo maza bhi gaya
hamein bhi banne sanwarne ka dhyan rahta tha
wo ek shaKHs ki tha ek aaina bhi, gaya
baDa sukun mila aaj us ke milne se
chalo ye dil se tawaqqo' ka waswasa bhi gaya
gulon ko dekh ke ab rakh yaad aati hai
KHayal ka wo suhana talazma bhi gaya
musafirat pe main teshe ke sang nikla tha
jidhar gaya hun mere sath rasta bhi gaya
hamein to ek nazar nashr kar gai 'anwar'
hamare hath se dil ka musawwada bhi gaya
- Book : funoon-volume-21 (Pg. 339)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.