Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki aag mein ab shama sa jal jaunga

Ishq Aurangabadi

ishq ki aag mein ab shama sa jal jaunga

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

    ishq aag meñ ab sham.a jal jā.ūñgā

    tujh lagan biich qadam gaaḌ na Tal jā.ūñgā

    gar dam-e-teġh se sau baar kaTegī gardan

    apnī sābit-qadamī sete sambhal jā.ūñgā

    maiñ vo jāñ-bāz o havāla huuñ patiñge tarah

    sham.a-rū tere upar jaan se jal jā.ūñgā

    shajar-e-mom huuñ ālam-e-mauhūm ke biich

    mehrbāñ garam-nigāhī se pighal jā.ūñgā

    ḳhaak uḌātā huā hastī ke ta.iiñ de barbād

    sar-ba-sahrā huuñ bagūle nikal jā.ūñgā

    tere kūche taraf azm kiyā huuñ jānāñ

    āḳhirash yak do qadam sar se bhī chal jā.ūñgā

    chashm-e-bad-mast ko gardish meñ jo laave saaqī

    abhī do jaam meñ sarshār ho chal jā.ūñgā

    'ishq' hai baal se bārīk sirāt-e-mahshar

    yā-'alī' kah ke tabhī us pe sambhal jā.ūñgā

    ishq ki aag mein ab shama sa jal jaunga

    tujh lagan bich qadam gaD na Tal jaunga

    gar dam-e-tegh se sau bar kaTegi gardan

    apni sabit-qadami sete sambhal jaunga

    main wo jaan-baz o hawala hun patinge ki tarah

    shama-ru tere upar jaan se jal jaunga

    shajar-e-mom sa hun aalam-e-mauhum ke bich

    mehrban garam-nigahi se pighal jaunga

    KHak uData hua hasti ke tain de barbaad

    sar-ba-sahra hun bagule sa nikal jaunga

    tere kuche ki taraf azm kiya hun jaanan

    aaKHirash yak do qadam sar se bhi chal jaunga

    chashm-e-bad-mast ko gardish mein jo lawe saqi

    abhi do jam mein sarshaar ho chal jaunga

    'ishq' hai baal se barik siraat-e-mahshar

    ya-'ali' kah ke tabhi us pe sambhal jaunga

    Source:

    Deewan-e-Ishq(Rekhta Website) (Pg. 22)

      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now