Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki dhup mein hum to jalte rahe

Zeenat Shaikh

ishq ki dhup mein hum to jalte rahe

Zeenat Shaikh

MORE BYZeenat Shaikh

    ishq dhuup meñ ham to jalte rahe

    aable paḌ ga.e phir bhī chalte rahe

    ik charāġh-e-mohabbat jalā thā kahīñ

    sham.a tarah ham bhī pighalte rahe

    be-hijābāna mahfil meñ vo aa ga.e

    aur divānoñ ke armāñ machalte rahe

    tang-hālī meñ puure nahīñ ho sake

    ḳhvāb muflis āñkhoñ meñ palte rahe

    intihā ho ga.ī vahshiyoñ yahāñ

    kitnī ma.asūm kaliyāñ masalte rahe

    sādgī hamārī sabab ban ga.ī

    mere apne sab mujh ko chhalte rahe

    ishq ne itnā be-bas hameñ kar diyā

    jhūTe va.adoñ se un ke bahalte rahe

    ishq ki dhup mein hum to jalte rahe

    aable paD gae phir bhi chalte rahe

    ek charagh-e-mohabbat jala tha kahin

    shama ki tarah hum bhi pighalte rahe

    be-hijabana mahfil mein wo aa gae

    aur diwanon ke arman machalte rahe

    tang-haali mein pure nahin ho sake

    KHwab muflis ki aankhon mein palte rahe

    intiha ho gai wahshiyon ki yahan

    kitni masum kaliyan masalte rahe

    sadgi hi hamari sabab ban gai

    mere apne hi sab mujh ko chhalte rahe

    ishq ne itna be-bas hamein kar diya

    jhuTe wadon se un ke bahalte rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now