ishq ki diwangi miT jaegi

Zeeshan Sahil

ishq ki diwangi miT jaegi

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

  ishq dīvāngī miT jā.egī

  kisī zindagī miT jā.egī

  ḳhatm ho jā.egā jab qissa huzūr

  aap hairāngī miT jā.egī

  aap bhī ro.eñge shāyad zār-zār

  phuul jaisī ye hañsī miT jā.egī

  ek din bujh jā.eñge ye mahr o maah

  nazar raushnī miT jā.egī

  fanā ho jā.eñgī galiyāñ tirī

  mirī āvāz miT jā.egī

  husn bhī barbād ho jā.egā dost

  aur dil dil-kashī miT jā.egī

  is qadar ābād ho jā.eñge log

  hasrat-e-tāmīr miT jā.egī

  ishq ki diwangi miT jaegi

  ya kisi ki zindagi miT jaegi

  KHatm ho jaega jab qissa huzur

  aap ki hairangi miT jaegi

  aap bhi roenge shayad zar-zar

  phul jaisi ye hansi miT jaegi

  ek din bujh jaenge ye mahr o mah

  ya nazar ki raushni miT jaegi

  ya fana ho jaengi galiyan teri

  ya meri aawaz hi miT jaegi

  husn bhi barbaad ho jaega dost

  aur dil ki dil-kashi miT jaegi

  is qadar aabaad ho jaenge log

  hasrat-e-tamir hi miT jaegi

  Source:

  • Book : Wajah-e-Begangi (Pg. 73)
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY