ishq ki wardat bandhe hain
'ishq kī vārdāt bāñdhe haiñ
ham haiñ jo mushkilāt bāñdhe haiñ
hijr jhelā baḌī ravānī se
dard rakkhe haiñ ghaat bāñdhe haiñ
ḳhauf jaatā rahā hai marne kā
maiñ ne vahshat ke haath bāñdhe haiñ
din huā to bikhar ga.e saare
ḳhvāb jitne bhī raat bāñdhe haiñ
muñh meñ mere bhī hai zabān magar
'ishq ne mere haath bāñdhe haiñ
jaane kab aur kahāñ bichhaḌ jaa.eñ
ghar se raste to saath bāñdhe haiñ
'ishq ki wardat bandhe hain
hum hain jo mushkilat bandhe hain
hijr jhela baDi rawani se
dard rakkhe hain ghat bandhe hain
KHauf jata raha hai marne ka
main ne wahshat ke hath bandhe hain
din hua to bikhar gae sare
KHwab jitne bhi raat bandhe hain
munh mein mere bhi hai zaban magar
'ishq ne mere hath bandhe hain
jaane kab aur kahan bichhaD jaen
ghar se raste to sath bandhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.