Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein ho ke mubtila dil ne kamal kar diya

Azeem Haider Syed

ishq mein ho ke mubtila dil ne kamal kar diya

Azeem Haider Syed

MORE BYAzeem Haider Syed

    ishq meñ ho ke mubtilā dil ne kamāl kar diyā

    yuuñ ek shakl ko zohra jamāl kar diyā

    ham ko tumhārī bazm se uThne kuchh qalaq nahīñ

    jaisā ḳhayāl ho sakā vaisā ḳhayāl kar diyā

    sail-e-ravān-e-umr ke aage Thahar sakā na kuchh

    vaqt ne mehr-e-husn ko rū-ba-zavāl kar diyā

    ek sam-e-azāb phail gayā vajūd meñ

    roz-o-shab-e-firāq ne jiinā muhāl kar diyā

    merī zabān-e-ḳhushk par ret zā.iqa hai

    mausam-e-bar-shigāl ne kaisā ye haal kar diyā

    dhund meñ kho ke rah ga.iiñ sūrateñ mehr-o-māh

    vaqt gard ne unheñ ḳhvāb-o-ḳhayāl kar diyā

    ishq mein ho ke mubtila dil ne kamal kar diya

    yun hi si ek shakl ko zohra jamal kar diya

    hum ko tumhaari bazm se uThne ka kuchh qalaq nahin

    jaisa KHayal ho saka waisa KHayal kar diya

    sail-e-rawan-e-umr ke aage Thahar saka na kuchh

    waqt ne mehr-e-husn ko ru-ba-zawal kar diya

    ek sam-e-azab sa phail gaya wajud mein

    roz-o-shab-e-firaq ne jina muhaal kar diya

    meri zaban-e-KHushk par ret ka zaiqa sa hai

    mausam-e-bar-shigal ne kaisa ye haal kar diya

    dhund mein kho ke rah gain suraten mehr-o-mah si

    waqt ki gard ne unhen KHwab-o-KHayal kar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now