Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein koi zaman aur na makan hota hai

Bismil Saeedi

ishq mein koi zaman aur na makan hota hai

Bismil Saeedi

MORE BYBismil Saeedi

    ishq meñ koī zamāñ aur na makāñ hotā hai

    vo do-ālam se alag ek jahāñ hotā hai

    kis qadar un tabī.at pe garāñ hotā hai

    jis fasāne meñ vafāoñ bayāñ hotā hai

    shiddat-e-shauq allāh re fusūñ uf re fareb

    un nafrat pe mohabbat gumāñ hotā hai

    sirf ik dil vo ma.abad hai vo ik ma.abad-e-ishq

    jis meñ nāqūs ham-āvāz-e-azāñ hotā hai

    un se is tarah judā ho ke ham aa.e haiñ ki haa.e

    aañkh se jaise koī ashk ravāñ hotā hai

    husn ke haq se koī ohda-bar-ā kyā hogā

    ishq haq bhī adā ham se kahāñ hotā hai

    apnī sozish meñ bhī hotā hai jahannum mahsūs

    ġhair aag sho.ala bhī dhuāñ hotā hai

    sunñe vaale pe hai munhasir andāza-e-ġham

    varna jo haal hai vo kis se bayāñ hotā hai

    ġhair aag meñ jalne maza hai kuchh aur

    varna parvāna bhī ḳhud sho.ala-ba-jāñ hotā hai

    haa.e is ishq meñ insāñ javāñ mar jaanā

    jaise kambaḳht isī din ko javāñ hotā hai

    saath har saañs ke aatā hai zabāñ par tirā naam

    dil meñ jo kuchh ho vahī vird-e-zabāñ hotā hai

    jis janāze pe barastī huī hasrat dekhūñ

    us janāze pe mujhe apnā gumāñ hotā hai

    ishq meñ haa.e tabī.at vo aalam 'bismil'

    ālam-e-ishq bhī jab dil pe garāñ hotā hai

    ishq mein koi zaman aur na makan hota hai

    wo do-alam se alag ek jahan hota hai

    kis qadar un ki tabiat pe garan hota hai

    jis fasane mein wafaon ka bayan hota hai

    shiddat-e-shauq ka allah re fusun uf re fareb

    un ki nafrat pe mohabbat ka guman hota hai

    sirf ek dil hi wo mabad hai wo ek mabad-e-ishq

    jis mein naqus ham-awaz-e-azan hota hai

    un se is tarah juda ho ke hum aae hain ki hae

    aankh se jaise koi ashk rawan hota hai

    husn ke haq se koi ohda-bar-a kya hoga

    ishq ka haq bhi ada hum se kahan hota hai

    apni sozish mein bhi hota hai jahannum mahsus

    ghair ki aag ka shoala bhi dhuan hota hai

    sunne wale hi pe hai munhasir andaza-e-gham

    warna jo haal hai wo kis se bayan hota hai

    ghair ki aag mein jalne ka maza hai kuchh aur

    warna parwana bhi KHud shoala-ba-jaan hota hai

    hae is ishq mein insan ka jawan mar jaana

    jaise kambaKHt isi din ko jawan hota hai

    sath har sans ke aata hai zaban par tera nam

    dil mein jo kuchh ho wahi wird-e-zaban hota hai

    jis janaze pe barasti hui hasrat dekhun

    us janaze pe mujhe apna guman hota hai

    ishq mein hae tabiat ka wo aalam 'bismil'

    aalam-e-ishq bhi jab dil pe garan hota hai

    Source:

    Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 421)

    • Author: Bismil Saeedi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Sahitya Akademi
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now